ALI ka adnaa Ghulam Hoon Sawab Le Kr May Kya Karoonga,

Hai Hubb-e-Haider (A.S) Se Dil Moa’ttar

Gulaab Le Kr May Kya Karoonga,

Lahad Mai aaya Tha Jo Farishta,

Ye Keh K Waapis Chala Gaya Hai.

Likhi Hai Naad-E-Ali Kafan Pe, Hisab Le Kr May Kya Karoonga..!