Eid e Mubahila sms:
Haq ne kuch itni tawajja se banaey Panjtan a.s
Kuch nahi aata nazar ham ko siwaey Panjtan a.s
Chashm-e-Insaan bhe zameen pr in k jalway dekh lay
Sirf is maqsad se is dunya main aaey Panjtan a.s
Yeah zuban-e-be-Hunnar kaisay karay unki Sana
Juzz Khuda k kis se mumkin hay sanaey Panjtan a.s
21 November. 24 Zilhajj Eid-al-Mubahila Mubarak ho.
—–
Sifaat e Mazhar e Haq se manazra kartay
Pathar apni jaga se zaroor hat jatay
kaha qabelay k sardar ne sunno logo
Jo jhuktay hum na to Essa naraz ho jatay
Mubahilay main sadaqat ki sanad lazim thi
Wagarna qisay main shamil hazaar ho jatay
Saron par aber e rehmat tha mufasir bhool jata gar
Janab e Sheaikh bhe Chatry leay mashhoor ho jatay
Tamam Eidon pe bhari yeah Eid hoti
Imam e Waqt jo parday se ayaan ho jatay
Eid e Mubahila Mubarak

Recent Comments