Wasi Shah Urdu Poetry Collection
on April 16th, 2010 at 2:27 pmWasi Shah Poetry Collection
Wo mairay alfaaz se hairaan rahta tha.
Main us k zoque se paraishaan rahta tha!
Be-wafa to keh dea tha sar-e-aam us ne.
Phir na jaanay keon khud he pashaimaan rahta tha!
Suna hai k poocha tha kisi ne mairay baaray main us se.
Kaha us ne k haan dill main ek nadaan rahta tha!
Wasi ham kaisay us ke ruswaee karain?
Jis par kabhe hamara emaan rahta tha!!!
wasi shah, wasi shah poetry, poetry wasi shah, wasi shah urdu poetry, wasi shah poetry collection, best of wasi shah, texting, sms, free sms, shayari, hindi poetry,
No related posts.
Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.
good for all
I like wasi shah’s peotry. Plz frndz snd me peom. 03347196774
Chalo ab so jaayein hum k tum sapno mei aao gay
humein phir se manao gay aur hum bhi maan jayeinge
magar yeh bhi zara socho agar mein so gaya aisa
k phir jo uth na paaon mein tau kya tum so bhi paao gay
arey pagal zara socho meri baatein meri yaadein
tumhe sonay nhi deingi
kisi ka bhi zamaane mei kabhi hone nhi de gi
suno mein so jata hoon k tum sapno mei aao gay
mujhe phir se manao gay
Bhool sakta hai unhein koi bhi aisay, kaisay
Raftagan dil mein basa kartay hain , kaisay, kaisay
Jaan ley kar bhi agar koi khush nahi honay waala
koi batlaye phir woh maanay ga, waisay , kaisay
yeh meray yaar ki Aankhon mein raha karti thi
poochiye , kuch na , hui dosti ” mai ” sey , kaisay
woh tou Anmol hai , nayaab hai , Iklauta hai
Us ki tashbeeh karein hum , kisi sheh sey, kaisay
Aur zindagi sey tujhe be dakhal tou kar dein , jaanan
per tu niklay bhi tou niklay , rag-o-pai sey , kaisay
hanstay hanstay , woh judaayi ko bhi seh jaaye ga ,
Zinda reh payenge magar , meray jaisay , kaisay ..
yeh meray yaar ki Aankhon mein raha karti thi
poochiye , kuch na , hui dosti ” mai ” sey , kaisay …….
Kya kahein tujh sey , keh kis kis kay karam hain , hum hain
kuch teray , kuch teri duniya kay sitam hain , hum hain
Saaqiya ! hifz e muraatib ka zaraa dehan rahay ,
Jaam lagta hai keh mayaar sey kam hai , Arey baba , Ghum hai !
Aur kaisay kaisay woh kiya karta hai waaday hum sey ,
subho sey shaam talak us kay Bharam hain , hum hain
Aur haye kya jaan kar darwaza na khola us ney ?
Hum pukaara hi kiye , yaar yeh hum hain , hum hain
Jin ko MAJNU bhi kiya karta hai jhuk kar Aadaab
Garche Is tarha kay Aashiq baray kam hain , hum hain
Aur , yeh hamara hai , kisi aur ka laasha tou nahi
kis liye Aankh kay gooshay teray num hain , Arey hum hain
Haye kya jaan kar darwaza na khola us ney
hum pukaara hi kiye , yaar yeh , hum hain , hum hain ! ….
BY wasi shah
my number Is 03346769090 . from karachi .
please send me , poetry of wasi shah !
Assalam o Aliekum to all viewerz . we r zehri guyz we like it .we live fsd ovr nmbr is 0312-7048854
Bhly dino ki baat he bhli c ik shkal thi bhali thi os ki dosti
Na ye k husn taam ho na dekhne mein aam c
Na is qdr khush libasian k sadgi gila kry
Na itni by taqulufi k aina hya kry
Na ikhtlat mein wo rim k bad mza hon khwahishien
Na he itna khator pan k zindgi azaab ho
Na ye k jb chly wo to kehkishan c rah guzr lge
Mgr jb wo sath ho to bhla bhla sa sfr lge
So ik roz kia howa wafa pe behas chir gai
Main ishq ko amr kahon wo meri zid se chir gai
Main ishq ka aseer tha wo ishq ko qfs khy
Main koi shajr o hjr to nahi jo umr bhr saye mein rahon
Main koi painting to nahi jo ik frame mein rahon
Na mj ko os pe maan tha na os ko mj pe zuham he
So koi wada he na howa ho to ki gham e shikastgi
So hnsi khushi apna apna rasta badl dia
Wo apne rasty pe chl di main apne rasty pe chal dia
Bhly dino ki baat he bhali c ik shkal thi bhali thi os ki dosti
Ab os ki yaad roz nahi mgr kabi kabi
Bhaly dino ki baat he bhli c ik shkl thi chli thi os ki dosti
written by me (zehri guyz).my name is Fahad frm fsd i m the chair man of this grp any body like this so cntct 0312-7048854
hi send me poetry on my number.03414626190,plz
Ek nasheli si ankhon ne “saqi” bana dia “Wasi”
Warna Qasam un Ankhon ki hum JAM ko hath tak nahi lagate…
fAiSaL udaas… 03329889046
fRoM swat