wasi shah ghazal, wasi shah ghazals, wasi shah shayari, wasi shah sms, wasi shah poetry, wasi shah urdu, urdu poetry, urdu sms, urdu shayari, wasi shah shayary, syed wasi shah, sms poetry, ghazal sms, free sms, text sms, love poems, hindi shayari, romantic poetry, love poetry,

Hijar ka tara doob chala hai

dhalna lagi hai raat wasi


Qatra qatra baras rahe hai

ashkon ke barsaat wasi


Tairay baad yeah dunia walay

mujh ko pagal kar dain ge


Khushbu k us dais main lay chal

mujh ko apnay saath wasi


Aj to us ka chehra bhe kuch

badla badla lagta hai


Maosam badla dunia badli

badal gaey halaat wasi


Mairay ghar khushboo ka yeah

raqs us k dam se hai


Us k saath chaly jaey ge

phoolon ke baraat wasi


Chor wasi ab us ke yadain

tujh ko pagal kar dain ge!


Tu qatra hai wo darya hai

Daikh apny aoqaat wasi.