Nisaar main terii galiyon ke ae watan keh jahaan
Chalii hai rasam keh koii na sar utha k chale
Jo koii chaahanewala tawaaf ko nikle
Nazar chura ke chale, jism-o-jaan bachaa k chale
Hai ahle-e-dill k liye ab ye nazam-e-bast-o-kushaad
K sang-o-khisht muqayyad hain aor sag azad
Bohat hain zulm ke dast-e-bahana-ju ke liye
Jo chand ahl-e-junnon tere naam levaa hain
Bane hain ahle-e-hawas muddaii bhii, munsif bhii
Kise wakiil karain, kis se munsifii chaahen?
Magar guzarnewaalon ke din guzarte hain
Tairay firaaq main yuun subh-o-shaam karate hain
Buhaa jo rauzan-e-zindaan to dill ye samajhaa hai
K terii maang sitaaron se bhar gaii hogii
Chamak uthe hain salaasil to ham ne jaana hai
K ab sahar tere rukh par bikhar gaii hogii
Garaz tasavvure-e-shaam-o-sahar main jiite hain
Giraft-e-saayaa-e-diwaar-o-dar main jiite hain
Yuun hi hameshaa ulajhatii rahii hai zulm se khalq
Na unkii rasm naii hai, na apnii riit naii
Yuun hii hameshaa khilaaye hain hamne aag main phool
Na unkii haar naii hai na apni jiit naii
Isii sabbab se falak ka gilaa nahiin karte
Tere firaaq main ham dill bura nahiin karte
Gar aaj tujhse judaa hain to kal baham honge
Ye raat bhar kii judaaii to koii baat nahiin
Gar aaj auj pe hai taala-e-raqiib to kyaa
Ye chaar din kii Khudaaii to koii baat naiin
Jo tujhse ahd-e-wafaa ustavaar rakhte hain
Ilaaj-e-gardish-e-lail-o-nihaar rakhte hain
Faiz Ahmad Faiz
Recent Comments