Best of Mohsin Naqvi
Monday, November 23rd, 2009
Best Of Mohsin Naqvi
yahan ujlay ujlay roop bohat-pr asli kam bahroop bohat
es pair k nechay kia rukna jahan saya kam ho dhoop bohat
chal Mohsin apnay gaon main-bathain gay sukh ki chaon main
keon tairy ankh swali ha? yahan hr ek baat nirali ha
es dais basaira mat krna yahan muflis hona gali ha
chal Mohsin apnay gaon main jahan sachay rishtay yaron k
jahan ghongat zaiwar naron k jahan jhrnay komal sur walay
jahan saaz bjain bin taron k
chal Mohsin apnay gaon main
jahan sona gandum ki bali jahan mati gaalon ki lali
jahan darya geet sunata ha aor raqs kray hr dali dali
chal Mohsin apnay gaon main
jahan dairay pir faqeeron ky jahan qisay ranjhay heeron k
jahan ghar ghar aashiq paltay hain topon, talwaron, teeron k
chal Mohsin apnay gaon main bathain gay sukh ke chaon main
Sphere: Related ContentSend to Twitter




zaibi says:
March 11th, 2010
10:27 pm
all is well