Mosam-e-Hijr K Lamhaat Koi Kya Jaane,

Kya Guzarti Hai Mere Saath Koi Kya Jaane,

Dooriyo Mein Bhi Tere Saath Maraasim Hain Wohi,

Roz Hoti Hai Mulaqaat Koi Kya Jaane,

Log Hansti Hui Aankho Pe Yaqeen Rakhte Hain,

Mere Aansu Mere Jazbaat Koi Kya Jaane,

Ek Tu Hai Jisay Maloom Hain Saari Baatein,

Shub-e-Hijraan Mere Halaat Koi Kya Jaane,

Koi Kya Jaane K Khamoshiya Kya Kehti Hain,

Meri Aankho K Sawalaat Koi Kya Jaane…!!!

No related posts.

Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.