Kaifi Azmi
KAIFI AZMI
Friday, February 27th, 2009aaj kii raat bahut garm havaa chalatii hai aaj kii raat na fut-paath pe niind aa_egii sab uTho, mai.n bii uThuu.N, tum bhii uTho, tum bhii uTho ko_ii khirkii isii diivaar me.n khul jaa_egii ye zamiin tab bhii nigal lene pe aamaadaa thii paa.Nv jab TuuTii shaaKho.n se utaare ham ne in makaano.n ko Khabar [...]
KAIFI AZMI
Friday, February 27th, 2009patthar ke Khudaa vahaa.N bhii paaye ham chaa.Nd se aaj lauT aaye diivaare.n to har taraf kha.Dii hai.n kyaa ho gayaa meharabaa.N saaye ja.ngal kii havaaye.N aa rahii hai.n kaaGaz kaa ye shehar u.D na jaaye lailaa ne nayaa janam liyaa hai hai Qais koii jo dil lagaaye hai aaj zamiin kaa gusal-e-sahat jis dil [...]
KAIFI AZMI
Friday, February 27th, 2009sunaa karo merii jaa.N in se un se afasaane sab ajanabii hai.n yahaa.N kaun kis ko pahachaane yahaa.N se jald guzar jaao qaafile vaalo.n hai.n merii pyaas ke phuu.Nke hue ye viiraane merii junuun-e-parastish se ta.ng aa gaye log sunaa hai ba.nd kiye jaa rahe hai.n but-Khaane jahaa.N se pichhale pahar ko_ii tashnaa-kaam uThaa vahii.n [...]
KAIFI AZMI
Friday, February 27th, 2009tum itanaa jo muskuraa rahe ho kyaa Gam hai jis ko chhupaa rahe ho aa.Nkho.n me.n namii ha.Nsii labo.n par kyaa haal hai kyaa dikhaa rahe ho ban jaaye.nge zahar piite piite ye ashk jo piite jaa rahe ho jin zaKhmo.n ko vaqt bhar chalaa hai tum kyo.n unhe.n chhe.De jaa rahe ho rekhaao.n kaa [...]
KAIFI AZMI
Friday, February 27th, 2009bas ik jhijhak hai yahii haal-e-dil sunaane me.n ki teraa zikr bhii aayegaa is fasaane me.n [jhijhak=hesitation; zikr=mention; fasaanaa=tale] baras pa.Dii thii jo ruKh se naqaab uThaane me.n vo chaa.Ndanii hai abhii tak mere Gariib-Khaane me.n [ruKh=face; naqaab=veil] isii me.n ishq kii qismat badal bhii sakatii thii jo vaqt biit gayaa mujh ko aazamaane me.n [...]
KAIFI AZMI
Friday, February 27th, 2009azaa me.n bahate the aa.Nsuu yahaa.N, lahuu to nahii.n ye ko_ii aur jagah hai ye lakhanauu to nahii.n yahaa.N to chalatii hai.n chhuriyaa zubaa.N se pahale ye miir aniis kii, aatish kii guftaguu to nahii.n chamak rahaa hai jo daaman pe dono.n firaqo.n ke baGaur dekho ye isalaam kaa lahuu to nahii.n
